Pixel, Camera me Megapixel, Mobile me Ultra-pixel aur Resolution, ye words apne bahot sune honge lekin Pixel or Megapixel ka matalab kya hai, aur isaka upyog kaise hota hai, in sabhi bato ko hum aaj apko batayenge, Hume Mobile, Computer, LED tv jaise adhunik upkarno me kahi na kahi pixel word sun ne ko milta hai, to hum usaka comparison kaise karenge ? isaka javab apko is post ki information se asani se mil jayega
Pixel Kya Hai
Pixel kya Hai? Pixel wo chote chote dots or elements hai jisase ek display taiyar hoti hai, Pixel word basically pictures ke short name pics se “PIX” or elements ke “EL” ko jodke “Pixel” banaya gaya hai,
Pixel ek chota sa controllable element hai picture ka jo use screen pe represent karta hai, Har ek pixel ki intensity changeable hoti hai, Color display me ek color 3 se 4 color ka प्रतिनिधित्व karta hai jaise ki red, green, blue(RGB) or cyan, magenta, yellow, aur black.
Ek screen aise लाखो or करोडो pixel ko per inch me jod ke banayi jati hai, Display me basically 3 se 4 color ki smallest LED lagayi jati hai jo jarurat ke mutabik Dim – Full hoke kisi bhi image ko dikhati hai, is small led ko hum pixel kehte hai,
Display me pixel ka arrangement per inch ke mutabik hota hai, 1 inch me jitane jyada pixel honge utana display ka result better hoga, jise hum PPI (Pixel per inch) ya DPI (Dot per inch) bhi kehte hai
Mobile, Computer, TV ki Display ka resolution hume batata hai ki usame kitne pixel hai jisase hume usaki quality ka pata chal sake,
example:- 640 X 480 pixel display is me 640 pixel horizontally lage hote he aur 480 pixel vertically lage hote hai, ye ek standard quality (SD) ki display hogi
? LCD vs LED vs Amoled Display ka Full Comparison
? DSLR And Mirrorless Camera Kya Hai Full details
Megapixel Kya Hai
Megapixel ko short me MP kehte, 1MP = 1 million (10 lakh) pixel hote hai, Kisi bhi Digital ya Mobile Camera ke resolution ko Megapixel me ankan kiya jata hai, For example koi camera 3264 x 2448 pixel (79,90,272 total pixel) image leta hai to use 8 Megapixel ka camera kaha ja sakta hai,
Image me Megapixel ka difference dekhane ke liye apko image par zoom karna padega, Jab aap ek 5MP or 10MP ki image ko bina zoom kiye dekhenge to usame bahot fark nahi padega kyu ki humari display resolution utana bada nahi hota,
Camera me picture lene ke liye image sensor lage hote hai, Ye image sensor Pixel pranali jaise hi kam karta hai, Ye sensor image capture karte time camera lance me jo picture dikhata hai use RGB (Red, green, blue) color mese filter karke capture karta hai, Ye sensor har prakar ke primary color ki intensity RGB color ke hisab se record karta hai jisase picture ki quality batter hoty hai, is tarah image sensor har ek element ko record karke full frame me image ko taiyar karta hai, Mobile aur digital camera me complementary metal–oxide–semiconductor (CMOS) image sensor ka upyog hota hai, jo isi tarah kam karta hai
Basically Camera me jitne jyada Megapixel honge utani badi image wo camera capture karsakta hai,
Jyada megapixel wale camera me se aap setting karke kam megapixel wali bhi picture capture kar sakte hai,
ऐसे ही कुछ और जानकारियों के लिए इन Post को जरुर पढ़े-
? HDR kya hai aur HDR ka use kaise kare
? Camera Me Optical Image Stabilization (OIS) Kya Hai
Dosto ummeed karta hu ki aapko Pixel Kya hai or Megapixel kya hai ki puri information mili hogi
Dosto aapko is post ke related koi bhi question ho to aap niche comment kar sakte ho.
Sir 12 mp camera our 13 mp camera isme kya fark he our asha consa he
is post ko pura read kare apko pata chal jayega.
Camra ka zoom kispe nirbhar rahta hai ppi ya mp pr
Ye Megapixel par depending hota hai